Friday, May 22, 2020

Ek Ladki: A short poem

Seher ki thandi hawaon ki tarah
Ek saadgi hai uski aankhon mein
Ek nazakat hai uski jeene mein
Maasoomiyat se bhari hui
Ek Noor si ladki

Makaan choti hai
Lekin dil bada
Nasib se milti hui roti ko
Kisi aur ke naam mein karne ki
Himmat rakhti hui
Ek dildaar si ladki

Gham ki kali badal
Uske upar bhi hai
Lakin woh labon ki muskan
Ek karamat ki tarah 
sukoon si barish bana deti hai
Ek inaayat si ladki

Woh Zindagi se bharpoor
Ek ummeed ke saath
Waqt bhi guzar jayegi
Phir se khushiyan layegi
Ek Aafreen si ladki
©kaju_kd

1 comment: